Bohat se afrad dukan bana kar karobar karty hain . Likan sabi logho ki dukan nahi chalti . Jab k har fard ye chahta hai k is ki dukan isay zaida munafa de . Zaida munafa hasil karne k liye logh sakhat mehnat bhe kartay hain aur apni dukan par zaida paisa bhe laghaty hain , likan iss k bawajood bohat se afrad apni dukan k liye bijli ka bill bhe nahi de patay .yad rahay dukan ko kamyab karne k liye zaroori hai k aap ki dukan mein barkat ho . Dukan mein barkat k liye achay amaal , ya barkat k liye qurani ayat ka wird karna zaroori hai .asal mein dukan mein har kisam k logh hameesha aaty jatay hain iss waja se baz oqaat dukan mein nazre bad k asraat parh jatay hain jes ki waja se dukan ki kamyabi ruk jati hai . Jab kisi fard ki dukan nuqsan ki taraf ja rahi ho tu ye baat pakki hoti hai k iss dukan mein kisi na kisi k bad asrat hain aur dukan mein barkat bhe nahi . Lahaza zaroori hai k aap koe na koe aysa rohani amal zaroor krain jes ki waja se aap ki dukan mein barkat hone lag jae .
Iss post mein aap ko dukan mein barkat ki dua naade ali shareef ka asan amal bataya gaya hai .
Dukan me barkat ki dua naad e ali shareef ki rohani barkat ki bina par aap apni dukan se be had munafa hasil kar saktay hain . Es dua ki barkat se ap ki dukan hameesha kala jadu , nazar e bad aur har nuqsan se hameesha mehfooz rahe ghe . Naade ali shareef kisi bhe karobar ko kamyab karne k liye , wafar rizq aur dolat hasil karne k liye be had powerful mani jati hai . Agr koe bhai apni shop se be had munafa aur dolat kamana chahty hain tu wo naade ali shareef ka wird zaroor kare . Insha allah dua nad e ali ki barkat se ap ko sirf chand dino mien rohani barkat hasil hona shuru ho jayen ghay insha allah .
Iss post mein dukan me barkat ki dua , dukan me barkat ki dua ki benefits aur dukan me barkat ki dua ka taweez k pur asrar faide aap se share kiye gaye hain . Lahaza agr aap apni dukan ko kamyab karna chahty hain tu dukan me barkat ki dua naade ali ka wird zaroor krain . Dukan me barkat ki dua ki urdu detail video mein mojood hai .

Dukan Me Barkat Ki Dua Video

Dukan Me Barkat Ki Dua

Dukan me barkat k liye ap rozana jab bhi apni dukan khola krain to ba wazu ho kar kholain aur es kay bad aap sab say pehly 3 bar 3rd kalma,1 bar darood e ibrahimi aur 1 bar dua naad e ali zaroor parh liya krain .
Esi tarha aap jab rat ko dukan band krain to bhi ap 3 bar 3rd kalma , 1 bar drood ibrahimi aur 1 bar dua e naad e ali parh kr apni dukan ko band krain .
Koshish krain k aap es amal ko tamam zindagi jari rakhen.
Insha allah es amal ki barkat say aap ki dukan me sirf chand dino mein aap ki soch say bhi ziada khair o barkat hony lagy gi.
Es kay elawa esi amal ki barkat say aap ki dukan say nazar e bad jado rizq ki bandish aur har kisam kay nehas asrat khatam ho jayen ghay aur ainda tamam zindagi aap ki dukan nazar e bad jado aur nehas asrat say mehfooz bhi rahy gi.

Dukan Ki Khairo Barkat Ke Liye Taweez

nady-ali

Dua naad e ali ka arabi taweez dukan ki khairo barkat aur dukan ki hifazat k liye be had powerful mana jata hai . Lehaza apni dukan mein khairo barkat kay liye,dukan ko nazar e bad jado aur dusray afrad kay bad asrat say mehfooz rakhny kay liye dua naade ali ka arabi naqsh apni dukan mein zaroor rakhen . Dukan ki rohani hifazat k liye dua naade ali ka naqsh dukan mein rakhna zarori hai . Yad rahay k dunia mein mojood kamyab dukan dar ya tu naade ali ka wird kartay hon ghay ya inn ki dukan mein dua naade ali ka arabi naqsh zaroor ho gha .
Dua naade ali sharif ko aap jumma k din mushk , amber , zafran aur gulab se tehreer kar k apni dukan mein zaroor rakh lein insha allah chand dino mein aap ki dukan aap ko aap ki soch se bhe zaida munafa dene laghy ghe .