Hadees mein koi aysa tareeqa mojood nahi jis mein mirch se nazar utari jaye. Mirch se nazar utaarna aik tootka hai. Aur aisay totkay hindu log istemaal karte hain. Chunkay is tootka mein koi aysa amal mojood nahi jiski islam nifi karta ho is liye bohat si muslim familes is totkay ko istemaal karti hain. Aur baaz auqaat is totkay ka assar ho bhi jata hai .is totkay ka assar ziyada tar bachon par hota hai. Is totkay mein teen saabit surkh aur khushk mirch le kar un mirchon ko nazre bad se mutasirah fard ke sir se 3 baar ya 7 baar guma is ko un mirchon ko agg mein daal diya jata hai. Yeh amal ziada se ziada teen din karne se mareez ko nazar bad se shifa mil jati hai .Yaad rahay ke bayan kya gaya amal sirf aik totka hai. Aur uski ki sharai hesiyat nahi hai aur yeh bhi zaroori nahi ke is totkay ka istemaal karkay aap ko har haal mein nazre bad se shifa haasil hogi . Nazre se shifa ka sahih tareeqa yeh hai ke aap aik martaba aayatul kursi aur chaar qul parh parh kar mareez par dam karen aur ho sakay to is amal ko jari rakhen ya yeh amal mareez khud kar le insha allah yeh amal dam karne se mareez ko nazre bad se shifa bhi haasil ho jaye gi aur woh nazre bad se hamesha mehfooz bhi rahay ga .
Mirch Se Nazar Utarna In Islam
حدیث میں کوئی ایساء طریقہ موجود نہیں جس میں مرچ سے نظر اتاری جائے ۔ مرچ سے نظر اتارنا ایک ٹوٹکہ ہے ۔ اور ایسے ٹوٹکے ہندو لوگ استعمال کرتے ہیں ۔ چونکہ اس ٹوٹکہ میں کوئی ایساء عمل موجود نہیں جسکی اسلام نفی کرتا ہو اس لیے بہت سی مسلم فیملیز اس ٹوٹکے کو استعمال کرتی ہیں ۔ اور بعض اوقات اس ٹوٹکے کا اثر ہو بھی جاتا ہے ۔ اس ٹوٹکے کا اثر زیادہ تر بچوں پر ہوتا ہے ۔ اس ٹوٹکے میں تین ثابت سرخ اور خشک مرچ لے کر ان مرچوں کو نظربد سے متاثرہ فرد کے سر سے 3 بار یا سات بار گماکر اس کو ان مرچوں کو آگ میں ڈال دیا جاتا ہے ۔ یہ عمل ذیادہ سے ذیادہ تین دن کرنے سے مریض کو نظر بد سے شفا مل جاتی ہے ۔
یاد رہے کہ بیان کیا گیا عمل صرف ایک ٹوٹکہ ہے ۔ اور اسکی کی شرعی حیثیت نہیں ہے اور یہ بھی ضروری نہیں کہ اس ٹوٹکے کا استعمال کرکے آپ کو ہر حال میں نظربد سے شفا حاصل ہوگی ۔
نطربد سے شفا کا صحیح طریقہ یہ ہے کہ آپ ایک مرتبہ آیت الکرسی اور چار قل پڑھ پڑھ کر مریض پر دم کریں اور ہو سکے تو اس عمل کو جاری رکھیں یا یہ عمل مریض خود کر لے انشاء اللہ یہ عمل دم کرنے سے مریض کو نظربد سے شفا بھی حاصل ہو جاے گی اور وہ نظربد سے ہمیشہ محفوظ بھی رہے گا ۔