Sab se ziyada nazre bad se bachay mutasir hotay hain. Lekin aksar bachon ko nazre bad se 2 ya 3 din mein khud bakhud nijaat mil jati hai. Uski wajah yeh hai ke bachon ne gunah nahi kya hota isi wajah se bachon ko nazre bad se jaldi nijaat mil jati hai. Lekin baaz bachon ko jab nazar lagti hai to is nazre bad ke asraat tamam zindagi un bachon ke jism se khatam nahi hotay .
Lehaza bohat se buzurag farmatay hain ke bachon ka birth se baloghat tak nazre bad se mehfooz rehna zaroori hai. Kyunkay bachon ki zindagi mein kamyabi, achi qismat aur waafar rizaq haasil karne ka dar o madar isi baat par hota hai ke aap ke bachay baloghat tak nazre bad se mehfooz rahen. Is liye agar aap ke bachay chhootey hain to ap inhen surah falaq, surah, naas aur aaytul kursi parh kar dam karte rahen aur jab aap ke bachay kuch samajh daar ho jayen to ap inhen aaytul kursi, surah falaq aur surah naas zaroor yaad karwaen taakay ap ke bachay yeh surah mubarikah subah aur shaam parhte rahen. Insha allah bayan ki gayi surah mubarikah ki barket se ap ke bachay hamesha nazre bad se mehfooz rahen ge. Yaad rahay ke agar ap chahtay hain ke ap ke bachon ko zindagi ke har maidan mein kamyabi miley aur un ki qismat bhi achi rahay to ap ko apne bachon ko nazre bad se bachana hi ga .
Nazar e Bad Ki Dua For Child Urdu
سب سے زیادہ نطربد سے بچے متاثر ہوتے ہیں ۔ لیکن اکثر بچوں کو نظربد سے دو یا تین دن میں خود بخود نجات مل جاتی ہے ۔ اسکی وجہ یہ ہے کہ بچوں نے گناہ نہیں کیا ہوتا اسی وجہ سے بچوں کو نظربد سے جلدی نجات مل جاتی ہے ۔ لیکن بعض بچوں کو جب نظر لگتی ہے تو اس نظربد کے اثرات تمام زندگی ان بچوں کے جسم سے ختم نہیں ہوتے ۔ لہذا بہت سے بزرگ فرماتے ہیں کہ بچوں کا پیدائش سے بلوغت تک نظربد سے محفوظ رہنا ضروری ہے ۔ کیونکہ بچوں کی زندگی میں کامیابی ، اچھی قسمت اور وافر رزق حاصل کرنے کا دارومدار اسی بات پر ہوتا ہے کہ آپ کے بچے بلوغت تک نظربد سے محفوظ رہیں ۔ اس لیے اگر آپ کے بچے چھوٹے ہیں تو آپ انہیں سورہ فلق ، سورہ ، ناس اور آیت الکرسی پڑھ کر دم کرتے رہیں اور جب آپ کے بچے کچھ سمجھ دار ہو جائیں تو آپ انہیں آیت الکرسی ، سورہ فلق اور سورہ ناس ضرور یاد کروائیں تاکہ آپ کے بچے یہ سورہ مبارکہ صبح اور شام پڑھتے رہیں ۔ انشاء اللہ بیان کی گئی سورہ مبارکہ کی برکت سے آپ کے بچے ہمیشہ نظربد سے محفوظ رہیں گے ۔ یاد رہے کہ اگر آپ چاہتے ہیں کہ آپ کے بچوں کو زندگی کے ہر میدان میں کامیابی ملے اور ان کی قسمت بھی اچھی رہے تو آپ کو اپنے بچوں کو ںظربد سے بچانا ہی گا ۔