Jin afraad ki shadi mein kisi nah kisi wajah se rokawat ajati ho to un mein 90 feesad log woh hon ghay jo kay nazr-e-bad ka shikaar hain. Aur nazre bad ki wajah se shadi mein aik baar nahi baar baar rokawat aati hai aur agar shadi ho jaye tu shadi kay baad zindagi mein had se ziyada pareshaaniyan aana shuru ho jati hain. Lehaza agar aap ki shadi mein rokawat aa chuki hai to is rokawat ka tor karne k liye aap surah tauba ka vird 7 din tak zaroor kar lein. Insha allah shadi se pehlay aur shadi kay baad aap ko shadi k hawalay se kisi bhi pareshani ka saamna nahi hoga. Surah tauba ka vird karne ka tareeqa yeh hai k aap ne jummay k din esha ki namaz ada karne k baad awwal o aakhir 10 -10 martaba durood pak vird karna hai aur darmiyan mein aap ne aik martaba surah tauba tilawat kar leni hai aur yeh wazifa aap ne 7 din tak jari rakhna hai. Behtar yeh hai k aap shadi ko nazr lagne ka intaizar nah karen aur pehlay hi yeh wazifa kar lein taakay baad mein aap ko nazre bad ki wajah se pareshani nah ho .

Nazar E Bad Shadi Mein Rukawat Ki Wajah In Urdu

جن افراد کی شادی میں کسی نہ کسی وجہ سے روکاوٹ آجاتی ہو تو ان میں 90 فیصد لوگ وہ ہوں گے جو کہ نظربد کا شکار ہیں ۔ اور نظربد کی وجہ سے شادی میں ایک بار نہیں بار بار روکاوٹ آتی ہے اور اگر شادی ہو جائے تو شادی کے بعد زندگی میں حد سے زیادہ پریشانیاں آنا شروع ہو جاتی ہیں ۔لہذا اگر آپ کی شادی میں روکاوٹ آچکی ہے تو اس روکاوٹ کا توڑ کرنے کے لیے آپ سورہ توبہ کا ورد 7 دن تک ضرور کرلیں ۔ انشاء اللہ شادی سے پہلے اور شادی کے بعد آپ کو شادی کے حوالے سے کسی بھی پریشانی کا سامنا نہیں ہوگا ۔ سورہ توبہ کا ورد کرنے کا طریقہ یہ ہے کہ آپ نے جمعہ کے دن عشاء کی نماز ادا کرنے کے بعد اول و آخر 10 -10 مرتبہ درود پاک ورد کرنا ہے اور درمیان میں آپ نے ایک مرتبہ سورہ توبہ تلاوت کر لینی ہے اور یہ وظیفہ آپ نے 7 دن تک جاری رکھنا ہے ۔بہتر یہ ہے کہ آپ شادی کو نظرلگنے کا انتطار نہ کریں اور پہلے ہی یہ وظیفہ کر لیں تاکہ بعد میں آپ کو نظربد کی وجہ سے پریشانی نہ ہو ۔