Nazr-e-bad se hifazat k liye bohat si duayen ahem aur afzal hain lekin jis shakhs k amaal quran o sunnat k mutabiq hain woh nazre bad se hifazat k liye koi bhi dua sirf aik baar parh le to nazre bad is se kosoon daur chali jati hai. Lehaza nazr-e-bad aur har qisam k bad asraat se nijaat k liye insaan ko –apne buray aamaal se bhi nijaat haasil kar leni chahiye jo kay insaan k apne hi ikhtiyar mein hota hai. Asal mein har insaan mein be shumaar khoobiyan mojood honay k sath sath kuch nah kuch khamiyan bhi hoti hain. Hum mein se aksar insaan apni khamion ko tasleem nahi karte aur koi nah koi aisi daleel peesh kar dete hain jiski wajah se mad-muqabil apni kam ilmi ki bana par khamosh ho jata hai. Asal mein hamari kotahiyan hi woh darwaaza hain jis kay zariye nazr-e-bad, kala jadu aur har qisam kay bad asraat hamaray andar daakhil hotay hain. Lehaza zaroori hai k insaan apni kotahiyon ka darwaaza hamesha band rakhay aur allah se hamesha panah aur rehmat mangta rahay . Nazre bad aur har qisam kay bad asraat ka pakka hal to yahi hai jo k hum ne aap ko bta diya. Lekin phir bhi insaan ghalti ka putla hai lehaza har musalman ko chahiye k woh allah se hamesha apne gunaaho ki maafi mangta rahay aur subah aur shaam mein aik martaba aayat al kursi aur chaar qul hamesha vird karne ki aadat daal le. Insha allah aap tamam zindagi nazr-e-bad se mehfooz rahen ghay .

Protection For Evil Eye Dua Urdu

نظربد سے حفاظت کے لیے بہت سی دعائیں اہم اور افضل ہیں لیکن جس شخص کے اعمال قرآن و سنت کے مطابق ہیں وہ نظربد سے حفاظت کے لیے کوئی بھی دعا صرف ایک بار پڑھ لے تو نظربد اس سے کوسوں دور چلی جاتی ہے ۔ لہذا نظربد اور ہر قسم کے بد اثرات سے نجات کے لیے انسان کو اپنے برے اعمال سے بھی نجات حاصل کر لینی چاہیے جو کہ انسان کے اپنے ہی اختیار میں ہوتا ہے ۔ اصل میں ہر انسان میں بے شمار خوبیاں موجود ہونے کے ساتھ ساتھ کچھ نہ کچھ خامیاں بھی ہوتی ہیں ۔ ہم میں سے اکثر انسان اپنی خامیوں کو تسلیم نہیں کرتے اور کوئی نہ کوئی ایسی دلیل پیش کر دیتے ہیں جسکی وجہ سے مدمقابل اپنی کم علمی کی بنا پر خاموش ہو جاتا ہے ۔ اصل میں ہماری کوتاہیاں ہی وہ دروازہ ہے جسکے ذریعے نظربد ، کالا جادو اور ہر قسم کے بد اثرات ہمارے اندر داخل ہوتے ہیں ۔ لہذا ضروری ہے کہ انسان اپنی کوتاہیوں کا دروازہ ہمیشہ بند رکھے اور اللہ سے ہمیشہ پناہ اور رحمت مانگتا رہے ۔
نظربد اور ہر قسم کے بد اثرات کا پکا حل تو یہی ہے جو کہ ہم نے آپ کو بتا دیا ۔ لیکن پھر بھی انسان غلطی کا پتلا ہے لہذا ہر مسلمان کو چاہیے کہ وہ اللہ سے ہمیشہ اپنے گناہوں کی معافی مانگتا رہے اور صبح اور شام میں ایک مرتبہ آیت الکرسی اور چارقل ہمیشہ ورد کرنے کی عادت ڈال لے ۔ انشاء اللہ آپ تمام زندگی نظربد سے محفوظ رہیں گے ۔