Shadi ki har rukawat ko door karne ke liye bohat si duayen mojood hain, aisi Qurani duao mein ek khaas dua Hasbunallahu Wa Ni’mal Wakeel hai. Sha di ki bandish ke peeche koi na koi aisa shakhs hota hai jo yeh nahi chahta ke aap ki shaadi kisi jagah ho. Agar kisi shakhs ne kala jadoo ke zariye aap ki shaadi mein rukawat paida ki hai to yeh rukawat jald door nahi ho sakti. Is ke ilawa nazar bad ki wajah se bhi baaz ladkiyon ki shaadi mein rukawat aasakti hai.
Nazar bad agar mamooli ho to shaadi chand rukawaton ke baad ho hi jaati hai, taham sakht nazar bad shaadi mein sakht rukawatein laati hai. Baaz dafa aisa bhi hota hai ke bandish aur nazar bad ki maujoodgi mein ladkiyon ki shaadi bina kisi rukawat ke ho jaati hai.
Lekin aisi shaadiyan kaamyaab nahi hoti. Baaz rohani mahireen ke mutabiq bandish ka agar ilaaj nahi kiya jaaye to yeh shaadi ke baad shadeed pareshani ki wajah banti hai. Bandish shaadi aur zindagi mein shadeed rukawat laati hai jabke nazar bad aur kala jadoo band ki wajah bante hain. Is liye is post mein hum aap ko shaadi ki har rukawat ko door karne ki du’a batayenge. Is ke ilawa is post mein hum shaadi ki bandish ke nuksanat aur is ki wajahat bhi aap ko batayenge.
Agar aap apni shaadi mein kisi rukawat ki wajah se pareshan hain to is post mein aap ki pareshani ka hal mojood hai, is liye is post ko aakhir tak parhein.

Shadi ki Bandish k Nuqsanat

Shadi ki bandish ki wajah se fard ko shadi se pehle aur shadi ke baad shadeed nuksanat ka samna hota hai. Agar koi fard shadi ki bandish ka shikar hai to is ki wajah se us ki shadi mein shadeed aur musalsal rukawatein aa sakti hain. Agar koi shakhs shadi ki bandish ka shikar hai to aisi soorat mein agar us ki shadi ho jaye to is fard ko shadi ke baad 10 nuksanat ka samna karna padh sakta hai. Ye 10 nuksanat darja zail hain:
Shadi ki bandish ki wajah se fard ki shadi nahi hoti.
Agar fard ki shadi ho jaye to ye shadi kamyaab nahi hoti.
Khawateen ko bohat jald talaaq ho jati hai.
Shohar biwi ke darmiyan nafrat paida ho jati hai.
Khawateen ko sasural mein izzat nahi milti.
Fard ko rozi ki pareshani ka samna hone lagta hai.
Shohar ghair auraton ki mohabbat ka shikar ho jata hai.
Shohar kisi aur aurat se shadi kar sakta hai.
Miyan biwi ko hadsat aur dhokon ka samna rehta hai.
Miyan biwi ko buri taqdeer ka hamesha samna rehta hai.
Agar koi bhai ya behan shadi ki bandish ka shikar hain to unhe shadi se pehle aur shadi ke baad shadeed qisam ki pareshaniyon ka musalsal samna rehta hai. Lihaza aisi soorat mein aap Hasbunallahu wa ni’mal wakeel ki barkat se apni zindagi mein sukoon laa sakte hain. Is dua ko wird karne ka tariqa neeche darj hai.

Shadi ki Rukawat ki Waja

Shadi mein bandish hone ki 7 wajahat ho sakti hain. Aam tor par aap fard ki shaadi mein bandish ka sabab woh log hote hain jo aap ki shaadi se khush nahi. Is liye jo log aap ya aap ke waliden se naraz hain, woh to kala jadoo ka istemaal karke aap ki shaadi mein bandish ki wajah ban sakte hain. Kala jadoo ki wajah se paida hone wali bandish aasani se khatam nahi hoti.
Bandish hone ki doosri ahem wajah nazar bad hai. Is liye baaz larkiyon ko nazar bad ki wajah se shaadi mein shadeed rukawaton ka samna hone lagta hai.
Badnami ki wajah se fard ko shaadi mein rukawat ka samna ho sakta hai.
Pechidah bimari ki wajah se fard ko shaadi mein rukawat ka samna ho sakta hai.
Jismani naqs ya motapa ki wajah se fard ko shaadi mein rukawat ka samna ho sakta hai.
Zyada umar ke ladkon aur ladkiyon ko shaadi mein pareshani ka samna hota hai.
Chehre ki rangat aur chhota qad ki wajah se bhi baaz afraad ko shaadi mein rukawat ka samna hota hai.
Yaad rahe ke jab koi ladki ya ladka nazar bad ka shikaar ho jate hain to is ki wajah se logon ko un mein chhote chhote naqs dikhai dene lagte hain, jis ki wajah se unhein shaadi ke hawale se pareshani ka samna hone lagta hai. Is liye jo ladkiyan aur ladke nazar bad se mehfooz rehte hain, unko shaadi mein kisi bhi qisam ki rukawat ka samna nahi hota. Shaadi ki har rukawat se bachne ke liye humne aap ko dua pehle bata di hai.

Shadi ki Rukawat ki Dua

shadi ki dua husbunallahu

Shadi ki har rukawat se nijat ke liye behtareen dua hasbunallahu wa ni’mal wakeel hai. Is liye shadi ki har pareshani se nijat ke liye aap isha ki namaz ke baad awal aur aakhir 10-10 martaba durood parhein aur darmiyan mein aap 300 martaba hasbunallahu wa ni’mal wakeel parhein.
Yeh qurani amal aap ne Jumma ke din shuru karna hai aur is amal ko aap ne 14 din tak jari rakhna hai. InshaAllah 14 din mein aap ko shadi ki har rukawat se nijat hasil ho jayegi.
Yeh qurani amal shuru karne se pehle aap ek maskeen ko khana khilaiye aur jab aap yeh qurani amal mukammal ho jaye to bhi aap ek maskeen ko khana khilaiye.
Yeh qurani amal shuru karne se pehle aur baad mein aap ek maskeen ko khana zaroor khilaiye. Yeh qurani amal aap ki shadi ki sakht se sakht rukawat ko door kare ga. ye Qurani wazifa karne se agr aap ko faida na ho tu app iss wazifa ki roahni barkat hasil karne k liye iss Dua mubarka ko pak ink se jumma k din tehreer kar k apne ghar mein bhe rakhain aur apne pas bhe rakhain , insha Allah aap ki har pareshani gaib se door hona shuro jae ghe .

agr aap apni pareshani ka 100% solution rohaniet se hasil karna chahte hain.tu 5 min ka rohani muraqbah kar k hamein itla krain , Insha Allah aap ko zindagi aur kismat badal dene wala parehani ka rohani hal hasil ho jae gha . iss ke liye neche mojood buton par click krain