Nazr utarne ke be shumar tariqay buzurgon ne byan farmaye hain. Hum ne apni site “naadeali.com” mein hadees mubarakah ke mutabiq woh tamam mashhoor tariqay byan kar diye hain jin ke zariye koi bhi fard apni ya kisi ki nazar aasani se utar sakta hai. Is post mein hum Surah Baqarah Last 2 Ayat ke zariye nazar utarne ka tariqa batayenge jo ke be had aasaan aur mujarrab hai, aur is ke liye koi roohani amal karne ki bhi zaroorat nahi.
Lihaza agar koi bhai, behan ya bacha nazar bad ka shikaar ho chuka hai to use wazu karne ko kehein. Jab woh wazu karle to aap 3 martaba Surah Baqarah Last 2 Ayat parh kar mareez ke sar par dam karein aur yeh amal 3 martaba dharayein. InshaAllah yeh amal 3 martaba dharanay se pehle hi nazar bad ke asraat khatam ho jayenge. Lihaza agar mareez ko lage ke woh sehat yaab hochuka hai to woh sadqah zaroor kare.
Nazar Utarne Ka Tarika Urdu
نظر اتارنے کے بے شمار طریقے بزرگوں نے بیان فرمائیں ہیں ۔ ہم نے اپنی سائٹ نادعلی میں حدیث مبارکہ کے مطابق وہ تمام مشہور طریقے بیان کر دئے ہیں جن کے زریعے کوئی بھی فرد اپنی یا کسی کی نظر آسانی سے اتار سکتا ہے ۔ اس پوسٹ میں ہم سورہ بقرہ کی آخری دو آیات کے زریعے نظر اتارنے کا طریقہ بتائیں گے جو کہ بے حد آسان اور مجرب ہے اور اس کے لئے کوئی روحانی عمل کرنے کی بھی ضرورت نہیں ۔ لہذا اگر کوئی بھائی ، بہن یا بچہ نظربد کا شکار ہو چکا ہے تو تو اسے وضو کرنے کو کہیں جب وہ وضو کرلے تو آپ 3 مرتبہ سورہ بقرہ کی آخری دوآیات پڑھ کر مریض کے سر پر دم کریں اور یہ عمل 3 مرتبہ دھرائیں ۔ انشاء اللہ یہ عمل 3 مرتبہ دھرانے سے پہلے ہی نظربد کے اثرات ختم ہو جائیں گے ۔ لہذا اگر مریض کو لگے کہ وہ صحت یاب ہوچکا ہے تو وہ صدقہ ضرور کرے ۔