Surah Baqarah Last Two Ayat ?
Is article mein hum aap ko Surah Baqarah Ki Aakhri 2 Ayat Ki Fazilat aur es K wird se hasil hone Waly fawaid K mutaliq batayn ghay.Surah Baqarah ki Aakhri 2 Ayat zahiri, batini, aur rohani aitbaar se be hadh fazilat ki hamil hain aur in 2 Ayat ke baray mein baqaida hadees mubarak bhi mujood hain jin ki tafseel neechay mujood hai.
Surah Baqarah Last Two Ayat Hadith
Hadees mubarak hai ke Allah ne asman o zameen ko khalk karne se do hazaar saal pehle ek kitaab tahreer farmayi. Is kitaab mein Surah Baqarah ki aakhri 2 Ayat thi, aur inhi Ayat ko Allah ne Hazoor Nabi Akram (S.A.W.) par nazil farma kar Surah Baqarah ka ikhtitam farmaya.
(Tirmizi, Darimi, Mishkat, page 187)
Aik martaba Hazoor Nabi Akram (S.A.W.) ke qareeb Hazrat Jibrail mujood thay. Achanak darwaza khulne ki awaz ayi, Jibrail ne arz ki ke Ya Rasool Allah, yeh Arsh ka woh darwaza hai jo pehle kabhi nahin khula. Is ke baad is darwaze se aik farishta nazil hua, phir Jibrail ne arz ki ke Ya Rasool Allah, yeh farishta bhi aaj se pehle kabhi nazil nahin hua. Is liye yeh farishta Hazoor Nabi Akram (S.A.W.) ke paas hazir hua aur arz kiya, ‘Allah ne aap ko do nooron ki basharat ata farmayi hai. Yeh noor aaj se pehle kisi ko ata nahin hua, aur yeh noor Surah Fatiha aur Surah Baqarah ki aakhri 2 Ayat hain.
(Muslim Sharif)
Surah Baqarah Last Two Ayat Tarjuma
Rasool (Khuda) is kitaab par jo un ke Parwardigar ki taraf se un par nazil hui, imaan rakhte hain aur mumin bhi. Sab Khuda par aur us ke farishton par aur us ki kitabon par aur us ke paighambaron par imaan rakhte hain (aur kehte hain ke) hum is ke paighambaron mein se kisi mein kuch farq nahin karte aur woh (Khuda se) arz karte hain ke hum ne (tera hukam) suna aur qubool kiya. Aye Parwardigar, hum teri bakhsish mangte hain aur teri taraf laut kar jana hai (285).
Khuda kisi shakhs ko is ki taqat se ziada takleef nahin deta. Achay kaam karega to is ko un ka faida milega, buray karega to isay un ka nuksan pohanchayega. Aye Parwardigar, agar hum se bhool ya chook ho gayi ho to hum se مواخذہ na keejiyo. Aye Parwardigar, hum par aisa bojh na daliyo jaisa tu ne hum se pehle logon par dala tha. Aye Parwardigar, jitna bojh uthane ki hum mein taqat nahin utna humare sar par na rakhiyo. Aur (Aye Parwardigar) humare gunahon ko darguzar kar aur humein bakhs de. Aur hum par rahm farma. To hi humara malik hai aur hum ko kafiron par ghalib farma.
Surah baqarah Last 2 Ayat Fazilat
Surah Baqarah ki aakhri do ayat ki jo fazilat Hadees Mubarakah mein biyan hai, woh hum ne pehle aap ko bata di hain ab hum aap ko Surah Baqarah ki Aakhri 2 Ayat ke duniyawi hawale se aap ko jo faiday hasil honge woh batate hain.
Surah Baqarah ki aakhri 2 Ayat ke wird ki barkat se aap ko rizq ki tangi, qarz aur bimari se nijat hasil ho jayegi.
Aap jis fard ke rizq ki dua karenge, Allah ki zaat usse uski soch se bhi ziada rizq ata farmayenge.
Aap ke ghar mein aman sakoon aur khair O barkat paida ho jayegi.
Aap hamesha kala jadu, jinnat, saya, dushman aur nagahani afaat o baliyat se mehfooz rahenge.
Aap ke karobar mein tarakki hogi.
Karobar ki bandish se aap ko hamesha ke liye nijat mil jayegi.
Agar aap achhi nokri se mehroom hain to nokri khud aap ke paas aayegi.
Aap ko nokri mein tarakki mil jayegi aur salary mein izafa hoga.
Har koi aap ki hamesha dil se izzat karega.
Aap ko zindagi ke har maidan mein kamyabi hasil hogi.
Aap ko aap ki har hajat hamesha ghaib se hasil hoti rahegi.
Aap ko dolat hasil hogi aur us mein kabhi kami nahi aayegi.
Shadi aur rishta ki har rukawat se aap ko nijat mil jayegi.
Shohar biwi ke ikhtilafat aur nafrat mohabbat mein badal jayegi.
Aulad farmabardar ho jayegi.
Jo be aulad hain woh sahib E aulad ho jayenge.
Is ke ilawa aap ki har mujooda aur har anay wali pareshani Allah ki madad se dour hoti rahegi.
Jo log bad qismat hain aur unhein koi acha nahi samajhta, aur woh log jinhen zindagi ke har maidan mein nakami aur pareshani milti hai, un ke liye biyan kiya gaya Wazifa un ke muqaddar ko badal dega.
Agar koi bhai ya behan biyan kiya gaya Wazifa na kar saken to woh Surah Baqarah ki aakhri 2 Ayat ka Arabic Naqsh apne ghar mein zaroor rakhen. Insha’Allah jo barkat pehle biyan hain woh aap ko chand dino mein hasil hona shuru ho jayengi.
Surah Baqarah ki Aakhri 2 Ayat ka yeh naqsh khas photo card aur khaas 3D lamination ke sath design kiya jata hai. Aur is Naqsh ko banate waqt tamam rohani usool o zawabit ko mad nazar rakha jata hai. Yeh naqsh aap Astana se courier, 3D lamination aur photo card ka inaam kharch 900 rupees ada kar ke 48 ghanton mein hasil kar sakte hain.
Agar aap yeh Naqsh cash on delivery chahte hain to aap ko is naqsh ka inaam kharch 975 rupees ada karna hoga aur yeh hadiya aap ne courier boy ko ada kar dena hai. Surah Baqarah ki aakhri 2 Ayat ka Naqsh hasil karne ke liye aap Amna Behan ko call kar sakte hain.
Yaad rahe ke Quranic taweezat aur dam ka hadiya dena afzal aur wusool karna behtareen rizq halal hai aur is hawale se aap Bikhari Sharif jild second safa number 759 mein maujood hadees mubarakah ko zaroor parh lein. Jazak Allah.
agr aap apni pareshani ka 100% solution rohaniet se hasil karna chahte hain tu 5 min ka rohani muraqbah kar k hamein itla krain , Insha Allah aap ko zindagi aur kismat badal dene wala parehani ka rohani hal hasil ho jae gha . iss ke liye neche mojood buton par click krain