Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees ?
Is Post mein Ham Aap ko Har Pareshani Se nijat k liye Dua “Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees ” Ka Wazifa Aur Iss Dua k benefits Bataein ghey .
Tirmidhi Sharif hadees 3524 ke mutabiq, is dua mubarak ko khud Hazoor Nabi Akram (SAW) apni mushkilat ke waqt zikr farmaya karte thay. In kalimat ki barkat se Allah ki zaat jald hi Nabi Pak ki pareshani ko dour farma dete thay, aur in hi kalimat ko ummat ke liye bhi taleem farmaya gaya hai. Aur jo koi bhi in kalimat ko apni mushkil aur pareshani mein parhta hai, to Allah ki zaat uski pareshani ko bhi Nabi Pak (SAW) ke sadqe mein hal farma detay hain.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees Arabic

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees arabic

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees Tarjuma

Aye woh zaat jo sada zinda hai aur sari kainaat sambhalay hue hai, Teri rehmat se fariyad karta hoon.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees Benefits

‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ‘ ke be shumar zahiri aur rohani barkat hain jo kainaat mein koi bhi mukammal tor par biyan nahi kar sakta. Is post mein hum ‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ‘ ki woh chand barkat biyan karenge jinka hum mushahida kar chuke hain aur jo humko buzurgon se seena ba seena hasil hue hain. In barkaton ki list aur is Dua mubarak ke zahiri faiday darj zail hain.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Rizq

rizq ki pareshani ka shikar bohat se afrad hain, aur baaz afrad ki rizq ki pareshani bohat mehnat aur koshish ke bawajood bhi hal nahi hoti. Aur isi tarah baaz afrad ki rizq ki pareshani ki wajah kala jadu, nazar bad aur bandish bhi hoti hain. Isi liye Rizq ki tangi ki wajah jo bhi ho, us se fori nijat aur aane wali zindagi is pareshani se mehfooz rehne ke liye aap ‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astagees’ ka wird har farz namaz ke baad sirf 100 bar kar lein aur is amal ko kam az kam 7 dino tak jari rakhen. Insha’Allah jald hi aap ko Rizq ki pareshani se nijat hasil ho jayegi.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Karobar

Karobar ki Pareshani ka har us fard ko samna karna parta hai jo koi naya karobar shuru karta hai. Zaroori nahi ke fard ka naya karobar kamyab ho, balke har naya karobar shuru mein nuksan deta hai, lekin ahista ahista jab fard karobari bareekion ko samjna shuru Karta hai to ye nuksanat kam ho jate hain. Lekin jin afrad ke karobar ko nazar bad, kala jadu ya bandish ka samna hota hai, woh karobar kabhi bhi mehnat aur paisa lagane ke bawajood kamyab nahi hote. Isi liye aise afrad jinka karobar unko mehnat ke bawajood munafa nahi de raha hai, woh ‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ‘ ka wird muhabbat se sirf 7 din kar lein. Insha’Allah karobar mein kamyabi na hone ki waja jo bhi ho gi, Allah ki zaat usay door farmadenge aur aap ka karobar sirf chand dinon mein aap ko aap ki soch se bhi ziada kamyabi dena shuru karega.Karobar ki pareshani ko dour karne ke liye aap Isha ki namaz ada karne ke baad 300 bar ‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ‘ aur 100 bar Durood E Ibrahimi muhabbat se zikr karen. Ye wird aap ne 7 din jari rakhna hai, Insha’Allah 7 dinon mein Allah ki zaat aap ko karobar ke hawale se har pareshani se nijat ata farmadenge.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for job

Agar kisi bhai ya behan ko job nahi milti, job choot gayi hai ya salary mein izafa nahi ho raha to is ke liye ‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees’ ka wird be hadh afzal mana jata hai. Yaad rahe ke job Allah ki bargah se Rizq hasil karne ka aik zariya hai aur is ka na hasil hona asal mein Allah ki rehmat se mehroom Hona hai. Isi liye Allah ki rehmat aur khair O barkat hasil karne ke liye aap har farz namaz ke baad sirf 100 bar ‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees’ muhabbat se zikr karlen. Ye amal 7 din karne se Insha’Allah aap ko aap ki pasand ke mutabiq achi job jald hasil hogi.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Ghar Ki Pareshani

Baaz afrad ke pass apna ghar nahi hota, aur woh apne pure khandan ke sath rehte hain. Jab koi apne pure khandan ke sath rehta hai to un mein choti choti baton par bade bade maslay hote rehte hain. Isi tarah baaz afrad apna ghar banane ke liye be hadh koshish karte hain magar un ki is koshish mein un ki umar beet jati hai magar unhe apna ghar hasil nahi hota. Nazreen, agar aap ke pass apna zati ghar nahi to zati ghar aap ko Allah ki madad ke baghair hasil nahi hoga. Aur Allah ki madad hasil karne ke liye ‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ‘ ka wird sirf 14 dinon tak kar lein. Insha’Allah aap ko apna zati ghar hasil hone ke liye ghabi asbab paida hone shuru ho jayen ge. Is wird ko aap ne Jummah ke din Fajr ki namaz ke baad shuru karna hai aur wird ke liye aap ne har farz namaz ke baad aik bar Surah Mulk aur 300 bar ‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees’ muhabbat se zikr karna hai. Is wird ko aap 14 din tak jari rakhain aur 14 dinon ke baad aap rozana kisi bhi waqt 100 bar ‘ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ‘ aur aik bar Surah Mulk tilawat karne ka mamool bana lein. Insha’Allah jald hi Allah ki zaat aap ke liye ghar ka bandobast farma denge.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Rishta

Agar kisi beti ke liye acha rishta nah aa raha ho to woh beti ya is ke waldain mein se koi sirf 12 roz tak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ka Wazifa kar lein. Insha’Allah 12 roz mein beti ke liye acha rishta hasil hone ka sabab paida ho jaye ga. Nazreen betion ke liye acha rishta nah hasil hone ki wajah aksar rishta ki bandish, nazarbad aur kala jadu hote hain, lehaza in pareshaniyon ka hal dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees mein mojood hai. Is Wazifa ke liye aap ne Fajr ki namaz ke baad 300 bar biyan ki gayi dua mubarak aur ek bar Surah Yaseen tilawat karni hai. Yeh Wazifa esi tarah aap ne 12 roz tak jari rakhna hai. Insha’Allah 12 roz mein Allah ki zaat beti ke liye Acha Rishta hasil hone ke asbab paida farma dain ge.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Shadi

Shadi ki pareshani ek aam masla hai jo ke larkon aur larkiyon dono ko lahaq hai. Is ki bohat si wajuhat hain jin mein bandish aik ahem wajah hai. Asal mein baaz larkiyon ka rishta koi hasil karna chahta hai lekin woh rishta nah milne ki wajah se badle ke tor par woh log unke rishta ki bandish karwa dete hain jiski wajah se unko rishta hasil hota hi nahi aur agar rishta hasil ho bhi jaye to unki shadi nahin ho pati. Yani unki shadi mein koi na koi aisi pareshani ati hai jo shadi mein sakht rukawat ki wajah ban jati hai. Lehaza shadi mein rukawat ki wajah jo bhi ho us se nijat ke liye aur jald shadi ke liye ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ka wird sirf 14 din kar lein. Insha’Allah aapko shadi ki har rukawat aur pareshani se hamesha ke liye nijat hasil hojayegi.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Shadi

Shohar aur biwi ke ikhtilaf har ghar mein hote hain in ki kayi wajuhaat hain aur in wajuhaat mein aham waja miya biwi ka aik dosray par shak karna hai. Is shak ki waja se baz auqaat ghar tabah ho jatay hain. Is shak ki waja kala jadu aur nazar bad ho sakte hain, aur agar nazar bad aur kala jadu ki waja se ghar ka sukoon khatam ho raha hai to is nazar bad ya kala jadu ke bad asrat ko jaldi ghar se dour karwayen kyun ke in ki wajh se kisi bhi waqt ghar mein koi bari afat aa sakti hai. Lehaza apne ghar ko har qisam ke bad asrat se pak karne ke liye, miya biwi mein mohabbat paida karne ke liye aur ghar ki hifazat ke liye ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ka wird sirf 11 din tak kar lein. Insha’Allah is khas Dua ki barkat se miya biwi ke darmiyan paida har qisam ki pareshani, shak, aur bad asrat dour ho jayenge. Is Wazifa ko karne ke liye aap ne har farz namaz ke baad sirf 70 martaba dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees mohabbat se zikr karni hai aur is dua mubarak ka yeh wird aap ne 11 roz tak jari rakhna hai. Insha’Allah 11 roz se pehle pehle miya biwi ke darmiyan moujood har pareshani Allah ki ghabi madad se hamesha ke liye dour ho jayegi.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Aulad

Nazreen bohat se bhai aur behane medically fit hone ke bawajood aulad ki nemat se mehroom rehte hain, aur baaz ke haan sirf larkiyan paida hoti hain jab ke un ki khawaish yeh hoti hai ke Allah ki zaat unhe larka ata farmaye. Is ke ilawa baaz afrad aise bhi hote hain jin ke haan aulad to hoti hai lekin woh apne waldain ki hadh se ziada gustakh aur badtameez hoti hai, sath sath apne waldain ki koi bhi baat nahi maanti. In tamam pareshaniyon ki waja bandish aur kala jadu ho sakte hain. Aur bandish aur kala jadu ka sahi aur Mujarrab rohani ilaj dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees hai. Is dua mubarak ka wird sirf 7 din karne se aapko biyan ki gayi tamam pareshaniyon se nijat hasil ho jayegi. Is Dua Mubarak ka wird karne ke liye aap 7 din tak har farz namaz ke baad aik bar Surah Muzammil aur 70 bar dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees mohabbat se zikr karte rahen. Insha’Allah aapko biyan ki gayi pareshaniyon se jaldi nijat hasil hojayegi.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Shifa

Nazreen dour hazir mein insano par bohat si khatar nak bemariyon ne hamla kiya, baaz bemariyon ki medicine ko insaan ne discover kar liya aur baaz afraad ka ilaj nahin hasil ho saka. Yani har fard kisi na kisi bemari ka shikar hai. Baaz bemari insan ke wajood par zahir ho jati hai aur baaz bemariyan jab insan ke jism par zahir hoti hain to is waqt bohat dair ho chuki hoti hai. Isi tarah baaz bemariyan insan par zahir ho kar us ka peecha nahin chorti hain. Agar koi bhai ya behan kisi bhi bemari mein mubtila hai aur usse is bemari se medicine lene ke bawajood bhi shifa nahin mil rahi ho to woh dua mubarak ko jitna parh sakta hai parh liya kare, yani is mein jitni himmat hai woh dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ko zikr kare. Aur agar aisa na ho sake to woh peenay ke saaf pani par is dua mubarak ko 70 baar parh kar khud dam kar le ya kisi se dam karwa le aur yeh paani 7 din tak piye. Insha’Allah jald hi es fard ko bemari se shifa mil jayegi.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Dushman se Nijat

Dushman Duniaywi Aur Batini hawale se kisi bhi qisam ka nuksan de sakta hai. Lehaza agar aap ka koi dushman hai aur aapko yeh dar hai ke woh kala jadu ya kisi bhi tareeqa se aap ki jaan, aulad, ghar aur karobar ko nuksan de sakta hai to aap ko chahye ke aap rozana 11 roz tak Isha ki namaz ke baad 1100 baar dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees mohabbat se parh lein. Yeh amal karne se aap ke ghar aur ghar ke afraad ka hasar ho jayega jiski wajah se koi bhi dushman aap ko kisi bhi tareeqa ka nuksan nahin de sakta.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Kala jadu se Hifazat

Kala jadu ka zikr Quran aur Hadees mein mujood hone ki buniyad par koi bhi musalman is se inkaar nahin kar sakta. Kala jadu jis ghar ya family par chal jata hai us ki tabahi hona atal hai aur is tabahi ko asani se roka bhi nahin ja sakta. Nazreen kala jadu kisi bhi fard ko har qisam ka nuksan de sakta hai aur is ke asrat ko ghar aur jism se dour karna bohat zaroori hai. Lehaza agar aap ko lagta hai ke aap ke ghar par kala jadu chal gaya hai aur yeh kala jadu aap ko shadeed nuksan, dar, khauf aur mali hawale se khasara de raha hai to dair kiye baghair aap 7 din tak Dua Mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ka wird karen. Is dua mubarak ka wird karne ke liye aap 7 din tak Fajr ki namaz ke baad 100 baar Surah Ikhlas aur 100 baar ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees parhein. Insha’Allah yeh asan wazifa karne ke baad aap ko jald hi kala jadu se shifa bhi hasil ho jayegi aur aane wali zindagi mein aap kala jadu ke asrat se Insha’Allah mahfooz bhi rahe gay.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Kala jadu se Hifazat

Nazre bad ke nuksanat ke bare mein be shumar hadees mojood hain, jin mein se aik hadees mubarak ke mutabiq ummat E muslima ki ziada tar death ki wajah nazre bad hai. Nazre bad kisi bhi fard ko kisi bhi dosre fard se lag jati hai aur is ke liye kisi ka dushman hona bhi shart nahin hai. Agar kisi ko nazar lag gai ho to woh 70 bar dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees parh kar apne upar dam kar le ya jis ko nazar lag gai ho usay dam kar dein. Insha’Allah aap ko nazre bad se ussi waqt shifa hasil ho jayegi aur agar koi bhai ya behen nazre bad se hamesha ke hifazat chahte hain to woh is dua mubarak ko har roz Isha ki namaz ke baad 70 bar parh lein. Insha’Allah yeh amal 21 roz karne se aap ke ghar ki rohani hifazat ho jayegi aur is ke baad is ghar mein kisi bhi cheez ko kisi ki bhi buri nazar nahin lage gi.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees for Hajat

Nazreen duniya mein koi bhi bhai ya behen aisa nahin hoga jiski koi hajat nahin. Har insaan apne dil mein koi na koi hajat zaroor rakhta hai. Baaz afrad ko in ki hajat hasil ho jati hai lekin baaz afraad ko in ki be hadh mehnat, koshish aur wazaif karne ke bawajood bhi in ki hajat hasil nahin hoti. Lehaza agar aap Ki bhi koi jaiz hajat hai aur woh hajat kisi bhi tarah pori nahin ho rahi hai to aap dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ka wird sirf 7 din kar lein. Insha’Allah 7 roz mein aap ki hajat pori hone ke liye ghabi asbab paida hone shuru ho jayenge.

Ya Hayyu Ya Qayyum Birahmatika Astaghees

Nazreen, dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees be shumar rohani aur zahiri barkat hain, jin mein se chand zahiri barkat ham ne aap ke liye pesh kar di hain. Ab hum aap ko is dua mubarak ka aisa amal bata rahe hain jiske karne se aap ko pehle biyan ki gayi tamam barkat bhi hasil hogi aur yeh barkat aap ko tamam zindagi hasil bhi hoti rahegi.
In barkaton mein aap ko tamam zindagi rizq, dolat, aur maal milta rahe ga.
Aap ki har hajat ghaib se pori hogi.
Miya biwi mein hadh se ziada muhabbat ho ghe.
Beti ko uski pasand ka rishta mil jaye ga.
Shadi ki har rukawat dour ho jaye gi.
Be gharon ko ghar mil jaye ga.
Karobar tarakki kar jaye ga.
Be aulad sahib aulad ho jayenge.
Gustakh aulad sudhar jaye gi.
Aap ko sasural mein izzat hasil ho gi.
Saas ka dil aap ke liye naram ho jaye ga.
Aur aap ki jaan, aulad, ghar, karobar, izzat, sehat, aur kamiyabi hamesha kala jadu, dushman, nazar bad aur jinnat se hamesha mahfooz rahe gi. Is ke ilawa yeh amal karne se aap ki qismat achi ho jaye gi aur aap jis kaam mein bhi hath dalen ge, aap ko kamyabi hasil hogi.
Yeh amal be had asan hai aur is amal ke liye aap ne Jummah ke din 2 plain paper par mushk, anbar, zafran aur gulab se dua mubarak ya hayyu ya Qayyum Birahmatika Astaghees ko likh kar rakh lein.
Is ke baad aap in 2 naqsh mein se aik ko apne paas rakh lein aur dosre ko apne ghar mein paak jagah par rakh dein.
Insha’Allah bayan ki gayi barkat aap ko jald hi hasil hone shuru ho jayenge.Agar koi bhai ya behen is naqsh ko khud likh na saken to woh is dua mubarak ka Arabi naqsh Astana se bhi mushk, anbar, zafran, aur courier ka kharch ada kar ke hasil kar sakte hain. Is naqsh mubarak ka hadiya kharch is post ke Aakhir mein diya gaya hai. Is dua mubarak ka Arabi naqsh aap ki request par aap ko courier kar diya jayega jo ke 48 ghanton mein aap ko wasool hoga. 

کامیابی کی روحانی کنجی

آپ کو کامیابی کیسے حاصل ہوگی ؟ یہ بات روحانیت جانتی ہے ، اور روحانیت سے پریشانی کا حل جاننے کے لئے آپ کے 5 منٹ آپ کی زندگی بدل سکتے ہیں ، لہذا نیچے موجود بٹن پر کلک کرکے اپنی کامیابی کا راز جانئے ۔